Sunday, February 18, 2007
kah ri dilli.....
Kah ri dilli…………
YAHA HAR OR CHEHRON KI CHAMAK JAB BHI HAI MILTI MUSKURAATI HAI,
YAHA PAAKAR ISHAARA ZINDGI LAMBI SADAK PAR DAUD JAATI HAI,
SUBAH KA SURYA THAKTA HAI TO KHAMBHON PAR CHAMAK UTHTI HAIN SHAAMEIN,
YAHAA HAR SHAAM PYAALON MEIN LACHAKTI HAI, NAHAATI HAI
DUKH THIKAANA DHUNDHTA HAI, SUKH BAHUT RAFTAAR MEIN HAI..
MAA MAGAR WO SUKH NAHI HAI JO TUMHAARE PYAAR MEIN HAI..............
YAHAA KOI DHUP KA TUKDAA NAHI KHELAA KIYA KARTAA HAI AANGAN MEIN,
SUBAH HOTI HAI YU HI, THAPKIYON KE BIN,KAMRE KI GHUTAN MEIN
NIT NAYE SAPNE BUNE JAATE YAHA HAIN KHULI AANKHON SE,
AUR SAPNE MAR BHI JAAYEIN TO NAHI UTHTI HAI KOI TEES MAN MEIN
GHAR KI MITTI, CHAAND, SONA, SAB YAHA BAAZAR MEIN HAI...
MAA MAGAR WO....................
O MERE PRIYATAM HUMAARE MAUN ANUBHAV HAIN LAJAATE,
HUM BHALAA IS SHOR-KI NAGRI MEIN KAISE AASTHA APNI BACHAATE,
PREM KE ANGIN CHITERE YAHA SADKON PAR KHADE KILLOL KARTE,
RAAT RADHA,DIWAS MEERA SANG, SAPNO KAA NAYAA BISTAR LAGAATE,
PREM KI GARIMAA YAHAA PAR DEH KE VISTAAR MEIN HAI...
HAA MAGAR WO............
KAH RI DILLI ? DE SAKEGI KABHI MUJHKO MERI MAA KA SNEH-AANCHAL,
DE SAKENGE KYAA TERE VAIBHAV SABHI,MILKAR MUJHE, DUKH-SUKH MEIN SAMBAL,
KYAA TU DEGI DHUYEIN-MEIN LIPTE HUYE CHEHRON KO RAUNAK??
THAKI-HAARI ZINDAGI KI RAAJDHAANI,DEKH LE APNA DHARAATAL,
POORVA KI GARIMA,TU KYUN AB PASCHIMI AVTAAR MEIN HAI??
MAA MAGAR WO........................
nikhil anand giri
memoriesalive@rediffmail.com
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment