Wednesday, March 14, 2007

..ENGINEER WO HAI......

Hello to all the blogmates...sharing with u this 'nice' poem sent to me by one of my closest friends....poems can be as simple as this one....just to change the 'mood' of this blog......'man ki baat' can not have a proper definition.......u can also send anything..just anything (language no bar...) to memoriesalive@gmail.com & memoriesalive@rediffmail.com nikhil/sohail now, enjoy this.......... Engineer Woh Hai Jo Aksar Phasta Hai Interviews Ke Sawaal Mae Badi Companiyon Ki Chaal Mae Boss Aur Client Ke Bawaal Mae Engineer Woh Hai Jo Pak Gaya Hai Meetings Ki Jhelai Mae Submissions Ki Gehrai Mae Teamwork Ki Chatai Mae Engineer Woh Hai Jo Laga Rahta Hai Schedule Ko Failane Mae Targets Ko Khiskaane Mae Roz Naye-Naye Bahane Mae Engineer Woh Hai JoLunch Time Mae Breakfast Karta Hai Dinner Time Mae Lunch Karta Hai Commutation Ke Waqt Soya Karta Hai Engineer Woh Hai Jo Pagal Hai Chai Aur Samose Ke Pyar Mae Cigeratte Ke Khumar Mae Birdwatching Ke Vichar Mae Engineer Woh Hai Jo Khoya Hai Reminders Ke Jawaab Mae Na Milne Wale Hisaab Mae Behtar Bhavishya Ke Khwaab Mae Engineer Woh Hai Jise Intezaar Hai Weekend Night Manane Ka Boss Ke Chhutti Jaane Ka Increment Ki Khabar Aane Ka Engineer Woh Hai Jo Sochta Hai Kaash!! Padhai Pe Dhyaan Diya Hota Kaash!! Teacher Se Panga Na Liya Hota Kaash!! Ishq Na Kiya Hota Aur Sabse Behtar To Ye Hota Kambakht Engineering Hi Na Kiya Hota............